Kyun Hai Kah Aaina Is Darja Tu Hairan Mujhse

kyun hai kah aaina is darja tu hairan mujh se

apni rudad ko mat kijiyo pinhan mujh se

hun hawa-KHwah main ai gul tera jiyun mauj-e-nasim

ghuncha-san kab hai girah ka tere nuqsan mujh se

chashm-e-mast us ki ne dil toD ke pheri hai nazar

ki na mange kahin is shisha ka tawan mujh se

tir ne KHwab mein hamdard jo paya apna

dard-e-dil kahne laga ho ke wo giryan mujh se

ram ka hirnon ke bagule ki bhi betabi ka

raaz sab waz kiya phaD gareban mujh se

garm rakhta tha kaha madrasa jab wadi ka

ilm-e-wahshat kiye tahsil ghazalan mujh se

sar par ab KHak uData hua phirta hun 'ishq'

saf dekha to na thi KHatir-e-yaran mujh se

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Hai Kah Aaina Is Darja Tu Hairan Mujhse In English By Famous Poet Ishq Aurangabadi. Kyun Hai Kah Aaina Is Darja Tu Hairan Mujhse is written by Ishq Aurangabadi. Read famous Poem Kyun Hai Kah Aaina Is Darja Tu Hairan Mujhse for youth and Student by Ishq Aurangabadi. Free Download Kyun Hai Kah Aaina Is Darja Tu Hairan Mujhse in PDF.