Bahut Hassas-o-nazuk Aabgine Wala Main Tanha

bahut hassas-o-nazuk aabgine wala main tanha

sharaben phenk kar zahrab pine wala main tanha

nae lashkar nae neze nai sharten hain baiat ki

ye kis kufe mein hun makke madine wala main tanha

lahu se kis tarah tariKH likhun asr-e-hazir ki

hazaron sar kaTi lashon mein jine wala main tanha

suKHan-e-na-ashna sahib-qiran ahl-e-samaat mein

shuur-o-fan ka girwida qarine wala main tanha

bataun apna shajara kiya subuk-saran-e-sahil ko

tah-e-girdab gum-gashta safine wala main tanha

azab-e-jaan hai 'ishrat' dard-mandi aur hissiyat

qataron mein gareban chaak sine wala main tanha

(1336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Hassas-o-nazuk Aabgine Wala Main Tanha In English By Famous Poet Ishrat Qadri. Bahut Hassas-o-nazuk Aabgine Wala Main Tanha is written by Ishrat Qadri. Read famous Poem Bahut Hassas-o-nazuk Aabgine Wala Main Tanha for youth and Student by Ishrat Qadri. Free Download Bahut Hassas-o-nazuk Aabgine Wala Main Tanha in PDF.