Hath Mein Jab Tak Qalam Tha Tajribe Likhte Rahe

hath mein jab tak qalam tha tajribe likhte rahe

hum zamin par aasman ke mashware likhte rahe

umr kitni kaT gai hijrat mein socha hi nahin

chehre ki sari lakiren aaine likhte rahe

mausamon ki dastaken chiKHon mein dab kar rah gain

git ki farmaishen thin marsiye likhte rahe

tum na paDhna wo safar-nama jo nok-e-KHar par

ku-ba-ku sahra-ba-sahra aable likhte rahe

hadse jin par moarriKH ki zaban khulti nahin

shahr ki diwar par hum KHun se likhte rahe

kar-nama aur kya karte ye naqqadan-e-asr

nok-e-KHanjar se ghazal par hashiye likhte rahe

kaifiyat shaKH-e-nihaal-e-gham ki 'ishrat' subh-o-sham

aate-jate mausamon ke qafile likhte rahe

(684) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath Mein Jab Tak Qalam Tha Tajribe Likhte Rahe In English By Famous Poet Ishrat Qadri. Hath Mein Jab Tak Qalam Tha Tajribe Likhte Rahe is written by Ishrat Qadri. Read famous Poem Hath Mein Jab Tak Qalam Tha Tajribe Likhte Rahe for youth and Student by Ishrat Qadri. Free Download Hath Mein Jab Tak Qalam Tha Tajribe Likhte Rahe in PDF.