In Andheron Se Pare Is Shab-e-gham Se Aage

in andheron se pare is shab-e-gham se aage

ek nai subh bhi hai sham-e-alam se aage

dasht mein kis se karen aabla-pai ka gila

rahnuma koi nahin naqsh-e-qadam se aage

saz mein khoe rahe soz na samjha koi

dard ki Tis thi pazeb ki chham se aage

ai KHosha azm-e-jawan zauq-e-safar josh-e-talab

hadse baDh na sake apne qadam se aage

yaad hai lazzat-e-azar-e-mohabbat ab tak

dil ko milta tha sukun mashq-e-sitam se aage

surKH-ru hai jahan tariKH-e-do-alam 'ishrat'

KHun Tapka hai wahin nok-e-qalam se aage

(926) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Andheron Se Pare Is Shab-e-gham Se Aage In English By Famous Poet Ishrat Qadri. In Andheron Se Pare Is Shab-e-gham Se Aage is written by Ishrat Qadri. Read famous Poem In Andheron Se Pare Is Shab-e-gham Se Aage for youth and Student by Ishrat Qadri. Free Download In Andheron Se Pare Is Shab-e-gham Se Aage in PDF.