Husn-e-takmil-e-tamanna Hai Saba Ho Jaana

husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana

shahr-dar-shahr har ek dil ki rawa ho jaana

pas aa aa ke har ek lamha bichhaDna tera

jaise KHushbu ka rag-e-gul se juda ho jaana

is tarah TuT ke barse hain garajte baadal

jaise jagi hui aankhon ki sada ho jaana

zindagi tu ne kai rang bhare hain paiham

zulf-e-shab-rang kabhi rang-e-hina ho jaana

kitne ban-bas liye phir bhi tere sath rahe

hum ne socha hi nahin tujh se juda ho jaana

jaan-gusil waqt ki taswir adhuri rakh di

hum ne chaha nahin har rang ka wa ho jaana

khetiyan sukh gain KHushk hue dil ke nagar

bawar aaya hamein pani ka hawa ho jaana

bujh gae rah-e-tamanna mein hazaron jugnu

tum mere waste naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana

ye bhi mumkin nahin ai dost to sab ki KHatir

chandni ban ke kahin jalwa-numa ho jaana

(575) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-takmil-e-tamanna Hai Saba Ho Jaana In English By Famous Poet Ishrat Rumani. Husn-e-takmil-e-tamanna Hai Saba Ho Jaana is written by Ishrat Rumani. Read famous Poem Husn-e-takmil-e-tamanna Hai Saba Ho Jaana for youth and Student by Ishrat Rumani. Free Download Husn-e-takmil-e-tamanna Hai Saba Ho Jaana in PDF.