Bahut Hai Ab Meri Aankhon Ka Aasman Usko

bahut hai ab meri aankhon ka aasman us ko

gaya wo daur ki thi fikr-e-ashiyan us ko

kiya hai saltanat-e-dil pe hukmaran us ko

nawazishon ka saliqa magar kahan us ko

shigaf-e-zaKHm jo mera na khul gaya hota

to kaise milti ye shamshir-e-kahkashan us ko

jidhar bhi jata hai wo shola-e-bahaar-sarisht

duaen deta hai amboh-e-kushtgan us ko

KHud us ki apni chamak ne suragh us ka diya

chhupaya main ne bahut zer-e-ab-e-jaan us ko

samundar apna sa munh le ke rah gae 'ishrat'

kiya tarawash-e-shabnam ne be-karan us ko

(634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Hai Ab Meri Aankhon Ka Aasman Usko In English By Famous Poet Ishrat Zafar. Bahut Hai Ab Meri Aankhon Ka Aasman Usko is written by Ishrat Zafar. Read famous Poem Bahut Hai Ab Meri Aankhon Ka Aasman Usko for youth and Student by Ishrat Zafar. Free Download Bahut Hai Ab Meri Aankhon Ka Aasman Usko in PDF.