Chand Hain Na Tare Hain Aasman Ke Aangan Mein

chand hain na tare hain aasman ke aangan mein

raqs karte hain shoale ab to shab ke daman mein

wahshaten hain raqsinda har gali har aangan mein

tere ahd-e-zarrin mein ashk-e-KHun hain daman mein

kaun dhoka deta hai kaun TuTa karta hai

ab tamiz mushkil hai rahbar mein rahzan mein

aise ab ke yaad aai is mah-e-do-hafta ki

chandni utar aai jaise ghar ke aangan mein

makDiyon ke jalon mein jaise kiDe hon be-bas

uljhe hain kuchh aise hi ahl-e-fikr uljhan mein

yun nishan hain rahon mein karwan ke qadmon ke

khil rahe hun har jaanib phul jis tarah ban mein

phul khilte the 'talib' KHushbu raqs karti thi

aaj shoale raqsan hain shaKH-e-sham-e-gulshan mein

(608) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Hain Na Tare Hain Aasman Ke Aangan Mein In English By Famous Poet Ishtiyaq Talib. Chand Hain Na Tare Hain Aasman Ke Aangan Mein is written by Ishtiyaq Talib. Read famous Poem Chand Hain Na Tare Hain Aasman Ke Aangan Mein for youth and Student by Ishtiyaq Talib. Free Download Chand Hain Na Tare Hain Aasman Ke Aangan Mein in PDF.