Hawa Aur Suraj Ka Muqabla

ek musafir apni dhun mein tha rawan

us ko in donon ne taka na-gahan

ho gae aapas mein tai qaul-o-qarar

jo labaada le musafir ka utar

bas usi ke nam ka Danka baje

sar pe dastar-e-fazilat wo saje

phir to aandhi ban ke chal nikli hawa

aisi biphri kar diya tufan bapa

unche unche peD tharrane lage

jhok se jhokon ki charrane lage

naunihaalon ki kamar bal kha gai

phul patton par qayamat aa gai

kanp uThe us dasht ke kul wahsh o tair

mangte the apne apne dam ki KHair

ho gaya daman-e-sahra gard-bard

ghir gaya aafat mein wo sahra-naward

chahti thi lun libaade ko uchak

muddai ko dun sar-e-maidan zak

jab hawa leti thi chakkar mein lapeT

baiTh jata tha wo daman ko sameT

sina-zori se na chori se Dari

kar saki lekin na kuchh ghaarat-gari

bandh li kas kar musafir ne kamar

ta hawa ka ho na kapDon mein guzar

thak gai aaKHir na us ka bas chala

Tal gai sar se musafir ke bala

ab thama jhakkaD to nikla aaftab

ru-e-nurani se sarkai naqab

tamkanat chehre se us ke aashkar

chaal mein ek burd-bari aur waqar

wo hawa ki si na thi yan dhum-dham

kar raha tha chupke chupke apna kaam

dhimi dhimi kirnen chamkane laga

rafta rafta sab ko garmane laga

us musafir ko pasina aa gaya

khol Dale band ji ghabra gaya

aur aage ko baDha to dhup se

tan-badan mein kuchh patange se lage

ab libaade ko liya kandhe pe Dal

badli yun naubat ba naubat chaal-Dhaal

jab chaDha KHurshid samt-u-rras par

baiTh kar sae mein phir to ghas par

dur phenka us libaade ko utar

wah-re suraj liya maidan mar

tezi-o-tundi ke girwida hain sab

kaamyabi ka magar hai aur Dhab

us ka gur hai narmi o aahistagi

sar-kashi ki rag usi se hai dabi

(2111) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Aur Suraj Ka Muqabla In English By Famous Poet Ismail Merathi. Hawa Aur Suraj Ka Muqabla is written by Ismail Merathi. Read famous Poem Hawa Aur Suraj Ka Muqabla for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download Hawa Aur Suraj Ka Muqabla in PDF.