ThoDa ThoDa Mil Kar Bahut Ho Jata Hai

banaya hai chiDiyon ne jo ghonsla

so ek ek tinka ikaTTha kiya

gaya ek hi bar suraj na Dub

magar rafta rafta hua hai ghurub

qadam hi qadam tai hua hai safar

gain lahze lahze mein umren guzar

samundar ki lahron ka tanta sada

kinare se hai aa ke Takra raha

samundar se dariya se uThti hai mauj

sada karti rahti hai dhawa ye fauj

kararun ko aaKHir gira hi diya

chaTanon ko bilkul safa-chaT kiya

barasta jo meinh musla-dhaar hai

so ye nannhi bundon ki bauchhaar hai

daraKHton ke jhunD aur jangal ghane

yunhi patte pate se mil kar bane

hue reshe reshe se ban aur jhaD

bana zarre zarre se mil kar pahaD

laga dane dane se ghalle ka Dher

paDa lamhe lamhe se barson ka pher

jo ek ek pal kar ke din kaT gaya

to ghaDiyon hi ghaDiyon baras ghaT gaya

likha likhne wale ne ek ek harf

huin gaDDiyan kitni kaghaz ki sarf

hui likhte likhte murattab kitab

isi par har ek shai ka samjho hisab

har ek ilm-o-fan aur kartab hunar

na tha pahle hi din se is Dhang par

yunhi baDhte baDhte taraqqi hui

jo neza hai ab tha wo pahle sui

julahe ne joDa tha ek ek tar

hue than jis ke gazon se shumar

yunhi phuiyon phuiyon bhare jhil tal

yunhi kauDi kauDi hua jama mal

agar thoDa thoDa karo subh o sham

baDe se baDa kaam bhi ho tamam

(4590) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ThoDa ThoDa Mil Kar Bahut Ho Jata Hai In English By Famous Poet Ismail Merathi. ThoDa ThoDa Mil Kar Bahut Ho Jata Hai is written by Ismail Merathi. Read famous Poem ThoDa ThoDa Mil Kar Bahut Ho Jata Hai for youth and Student by Ismail Merathi. Free Download ThoDa ThoDa Mil Kar Bahut Ho Jata Hai in PDF.