Dilli Pe Qurban

bahaar-e-be-KHizan dilli pe qurban

nishat-e-jawedan dilli pe qurban

shamim-e-gulsitan dilli pe qurban

zamin-o-asman dilli pe qurban

mera dil meri jaan dilli pe qurban

yahan har KHar sarw-o-yasman hai

yahan har jada aaghosh-e-chaman hai

yahan har zarra surat ki kiran hai

nujum-o-kahkashan dilli pe qurban

mera dil meri jaan dilli pe qurban

mahakti wadiyan rangin nazare

nazaron mein mohabbat ke ishaare

suhani subh jamuna ke kinare

KHum-e-ab-e-rawan dilli pe qurban

mera dil meri jaan dilli pe qurban

wo ThanDi raat wo aariz wo gesu

faza mein pur-fishan sanson ki KHushbu

nashili karwaTen maKHmur pahlu

sharab-e-arghawan dilli pe qurban

mera dil meri jaan dilli pe qurban

salone honT aur wade suhane

nigah masum aur kamsin nishane

mahakte jism KHushbu ke KHazane

chaman-zar-e-jinan dilli pe qurban

mera dil meri jaan dilli pe qurban

mere ahd-e-mohabbat ki nishani

saloni sanwli gul-rang dhani

yahan gum ho gai meri jawani

dil-e-kaun-o-makan dilli pe qurban

mera dil meri jaan dilli pe qurban

(1324) Peoples Rate This

Izhaar Malihabadi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Dilli Pe Qurban In English By Famous Poet Izhaar Malihabadi. Dilli Pe Qurban is written by Izhaar Malihabadi. Read famous Poem Dilli Pe Qurban for youth and Student by Izhaar Malihabadi. Free Download Dilli Pe Qurban in PDF.