Ek Suraj Ka Kya Zikr Hai Kahkashaen Chalin

ek suraj ka kya zikr hai kahkashaen chalin

main chala to mere sath sari dishaen chalin

aage aage junun tha mera gard uData hua

pichhe pichhe mere aandhiyon ki balaen chalin

koi zanjir TuTi thi ya dil ki aawaz thi

daere se banai hui kyun sadaen chalin

main chala to har ek chiz Thahri hui si lagi

main ruka to ye dharti chali ye fazaen chalin

ek shahadat-numa tishnagi thi muqaddar mera

main jidhar bhi gaya sath mein karbalaen chalin

jaane kis ke rasile labon ke mahak lai thin

zaKHm aawaz dene lage jab hawaen chalin

un se milne ka manzar bhi dil-chasp tha ai 'asar'

is taraf se bahaaren chalin aur udhar se KHizaen chalin

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Suraj Ka Kya Zikr Hai Kahkashaen Chalin In English By Famous Poet Izhar Asar. Ek Suraj Ka Kya Zikr Hai Kahkashaen Chalin is written by Izhar Asar. Read famous Poem Ek Suraj Ka Kya Zikr Hai Kahkashaen Chalin for youth and Student by Izhar Asar. Free Download Ek Suraj Ka Kya Zikr Hai Kahkashaen Chalin in PDF.