Lamha Lamha Dastak De Kar TaDpata Hai Jaane Kaun

lamha lamha dastak de kar taDpata hai jaane kaun

raat gae man-darwaze par aa jata hai jaane kaun

apni sanson ki KHushbu ko ghol ke meri sanson mein

mera suna jiwan-angan mahkata hai jaane kaun

ek anjaane hath ko akasr shane par mahsus karun

mujh se dur hi rah kar mujh ko apnata hai jaane kaun

aankhen to parbat ke pichhe chhupte chand ko dekhen bas

us manzar ki oT mein lekin sharmata hai jaane kaun

dhup mein dasht-e-tanhai ki mere jalte honTon ko

lams apne gul-barg lab ka de jata hai jaane kaun

apne parae chhuT gae sab aas-khilaune TuT gae

phir bhi ziddi man-baalak ko bahlata hai jaane kaun

yaksan tewar yaksan chehre sab hi dukh dene wale

lekin is basti mein bhi ek sukh-data hai jaane kaun

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamha Lamha Dastak De Kar TaDpata Hai Jaane Kaun In English By Famous Poet Izhar Varsi. Lamha Lamha Dastak De Kar TaDpata Hai Jaane Kaun is written by Izhar Varsi. Read famous Poem Lamha Lamha Dastak De Kar TaDpata Hai Jaane Kaun for youth and Student by Izhar Varsi. Free Download Lamha Lamha Dastak De Kar TaDpata Hai Jaane Kaun in PDF.