Subh Ke Dard Ko Raaton Ki Jalan Ko Bhulen

subh ke dard ko raaton ki jalan ko bhulen

kis ke ghar jaen ki is wada-shikan ko bhulen

aaj tak choT dabae nahin dabti dil ki

kis tarah us sanam-e-sang-badan ko bhulen

ab siwa is ke mudawa-e-gham-e-dil kya hai

itni pi jaen ki har ranj-o-mehan ko bhulen

aur tahzib-e-gham-e-ishq nibha den kuchh din

aaKHiri waqt mein kya apne chalan ko bhulen

(691) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Ke Dard Ko Raaton Ki Jalan Ko Bhulen In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Subh Ke Dard Ko Raaton Ki Jalan Ko Bhulen is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Subh Ke Dard Ko Raaton Ki Jalan Ko Bhulen for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Subh Ke Dard Ko Raaton Ki Jalan Ko Bhulen in PDF.