Naddi Ye Jaise Mauj Mein Dariya Se Ja Mile

naddi ye jaise mauj mein dariya se ja mile

tum se kahin milun main agar rasta mile

milti hai ek sans ki mohlat kabhi kabhi

shayad ye raat bhi teri subhon se ja mile

jo bhi mila wo apni ana ka asir tha

insan ko DhunDne mein gai to KHuda mile

is ahd-e-intishaar mein kya ittifaq hai

dard-o-alam ye ranj-o-malal ek ja mile

dil mein zara KHulus na mehr-o-wafa ka rang

rasman bahut aziz bahut aqraba mile

meri shikast mein mere kuchh mehrban bhi the

meri safen jo chhoD ke dushman se ja mile

us samt se bhi guzre nai rut ka karwan

ghaaron ke basiyon ko bhi taza hawa mile

'jaanan' ye zindagi ke ajab sanehat hain

kuchh log apne-ap se aksar KHafa mile

(1783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naddi Ye Jaise Mauj Mein Dariya Se Ja Mile In English By Famous Poet Jaanaan Malik. Naddi Ye Jaise Mauj Mein Dariya Se Ja Mile is written by Jaanaan Malik. Read famous Poem Naddi Ye Jaise Mauj Mein Dariya Se Ja Mile for youth and Student by Jaanaan Malik. Free Download Naddi Ye Jaise Mauj Mein Dariya Se Ja Mile in PDF.