Wah Kya Daur Hai Kya Log Hain Kya Hota Hai

wah kya daur hai kya log hain kya hota hai

ye bhi mat kah ki jo kahiye to gila hota hai

kya bataen tumhein ab kya nahin hota hai yahan

bas ye jaano ki jo hota hai bura hota hai

de ke dukh auron ko wo kaun sa sukh paega

aisi baaton se bhala kis ka bhala hota hai

ab wo din dur nahin dekhna tum bhi yaro

amn ke nam pe kya fitna bapa hota hai

phir saf-ara huin faujen lab-e-dariya-e-furaat

hum ko malum hai is jang mein kya hota hai

aaj phir dil mein uTha hai wahi derina sawal

aise mazlumon ka kya koi KHuda hota hai

ek zara haal to dekho mera ai dost mere

tum hi socho koi aise mein KHafa hota hai

yun to har raat hi rahti hai ajab bechaini

aaj kuchh dard mere dil mein siwa hota hai

(620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wah Kya Daur Hai Kya Log Hain Kya Hota Hai In English By Famous Poet Jafar Abbas. Wah Kya Daur Hai Kya Log Hain Kya Hota Hai is written by Jafar Abbas. Read famous Poem Wah Kya Daur Hai Kya Log Hain Kya Hota Hai for youth and Student by Jafar Abbas. Free Download Wah Kya Daur Hai Kya Log Hain Kya Hota Hai in PDF.