Abhi Hai Ghair Ke Altaf Se Jafa-e-habib

abhi hai ghair ke altaf se jafa-e-habib

wahi raza hai hamari jo hai raza-e-habib

na samjhun apna kisi ko raqib rashk se main

wo mera dost hai jo howe aashna-e-habib

wo KHwah qatl kare KHwah meri jaan baKHshe

ki marg o zist pe muKHtar hai raza-e-habib

na tegh-e-yar se gardan phiraun main hargiz

ki ain-lutf samajhta hun main jafa-e-habib

patinge shama ke sadqe hon bulbulen gul par

koi kisi ke fida ho main hun fida-e-habib

bahisht ki mujhe targhib de na tu waiz

kisi ki mujh ko tamanna nahin siwae habib

hamesha mujh se wo kahta tha mar kahin 'hasrat'

hazar shukr pazirai hui dua-e-habib

(622) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Hai Ghair Ke Altaf Se Jafa-e-habib In English By Famous Poet Jafar Ali Hasrat. Abhi Hai Ghair Ke Altaf Se Jafa-e-habib is written by Jafar Ali Hasrat. Read famous Poem Abhi Hai Ghair Ke Altaf Se Jafa-e-habib for youth and Student by Jafar Ali Hasrat. Free Download Abhi Hai Ghair Ke Altaf Se Jafa-e-habib in PDF.