KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi

KHizan ke dosh pe hai fasl-e-gul ka raKHt abhi

ki barg-o-bar se KHali hai har daraKHt abhi

abhi ghamon se ibarat hai sar-nawisht-e-bashar

ki aasman pare hai zamin saKHt abhi

samajh shua-e-burida na sirf jugnu ko

kiran kiran ka jigar hoga laKHt laKHt abhi

mata-e-jaan bhi use pesh kar chuka hun main

mere raqib ka lahja hai kyun karaKHt abhi

tamam raat raha mai-kada-nashin 'jafar'

gaya hai uTh ke yahan se wo nek-baKHt abhi

(613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi In English By Famous Poet Jafar Baluch. KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi is written by Jafar Baluch. Read famous Poem KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi for youth and Student by Jafar Baluch. Free Download KHizan Ke Dosh Pe Hai Fasl-e-gul Ka RaKHt Abhi in PDF.