BaiTha Tha Tan Ko Dhank Ke Jo Garm Shaal Se

baiTha tha tan ko Dhank ke jo garm shaal se

mushkil mein paD gaya wo sitaron ki chaal se

KHamoshiyon ki rah pe ho kar ke gamzan

rakhna kabhi na soch ka rishta malal se

ummid aisi un se matanat ki thi nahin

bachche bigaD gae hain bahut dekh bhaal se

dam-KHam to kuchh nahin tha haqiqat ke nam par

ghabra gaya jahan hamari majal se

kuchh maslahat ke nam pe chup chap hum rahe

waqif the warna waqt ke poshida haal se

chadar pe aasman ki bikhri thi chandni

aarasta zamin thi is ke jamal se

tum shahr ja rahe ho to jao magar wahan

arman milenge dekhna behad niDhaal se

afsurda fikr thi jo qadamat ke KHol mein

shadab ho gai hai wo raushan KHayal se

ek patte ki bisat tumhaari hai 'sahni'

miTTi mein ja miloge juda ho ke Dal se

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaiTha Tha Tan Ko Dhank Ke Jo Garm Shaal Se In English By Famous Poet Jafar Sahni. BaiTha Tha Tan Ko Dhank Ke Jo Garm Shaal Se is written by Jafar Sahni. Read famous Poem BaiTha Tha Tan Ko Dhank Ke Jo Garm Shaal Se for youth and Student by Jafar Sahni. Free Download BaiTha Tha Tan Ko Dhank Ke Jo Garm Shaal Se in PDF.