Aaj Phir Mujhse

aaj phir mujh se

mera kamra muKHatib hai

daraDen wo kabhi

chhat ki dikhata hai

kabhi diwar mein paDte shagafon ko

nishan jhulse hue rangon ka mujh ko

mubtila kar deta hai haibat mein

makDi ke subuk jale

hawa ke dosh par lahrane lagte hain

zawal-e-zindagi ka wo pata bhi dene lagte hain

zamin kamre ki

bosida kahani jab sunati hai

kiwaDon se sada uThti hai

rone aur sisakne ki

kabhi aahen si bharne ki

unhin lamhon ke sae mein magar

kuchh jhankti angur ki belen

dariche se tabassum ka shagufta aks

dikhlati hain aankhon ko

(619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Phir Mujhse In English By Famous Poet Jafar Sahni. Aaj Phir Mujhse is written by Jafar Sahni. Read famous Poem Aaj Phir Mujhse for youth and Student by Jafar Sahni. Free Download Aaj Phir Mujhse in PDF.