Ghaarat Tamasha Ho Gaya

mujh ko wo kutta

saba qadmon uchhalta

maKHmali sabze pe tohfa

husn-e-mutlaq ka bana dil-kash laga tha

lambe baalon

rui ke galon ko pahne

jism is ka gend sa lagne laga tha

ek gulabi narm ungli

narm paTTa

halki si zanjir

wo kutta bahut achchha laga tha

han magar wo gend sa

kutta uchhalta bhi

achanak ek patthar ke sire par

sunghta kuchh ruk gaya

aur aam kutton ki tarah

ek Tang apni jab uTha kar

hasb-e-KHaslat kar gaya

ghaarat tamasha ho gaya

(716) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ghaarat Tamasha Ho Gaya In English By Famous Poet Jafar Sahni. Ghaarat Tamasha Ho Gaya is written by Jafar Sahni. Read famous Poem Ghaarat Tamasha Ho Gaya for youth and Student by Jafar Sahni. Free Download Ghaarat Tamasha Ho Gaya in PDF.