Phir LauT Kar Gae Na Kabhi Dasht-o-dar Se Hum

phir lauT kar gae na kabhi dasht-o-dar se hum

nikle bas ek bar kuchh is tarah ghar se hum

kuchh dur tak chale hi gae be-KHabar se hum

ai be-KHudi-e-shauq ye guzre kidhar se hum

aazad be-niyaz the apni KHabar se hum

palTe kuchh is tarah se deccan ke safar se hum

qalb-o-nazar ka daur bas itna hi yaad hai

wo ek qadam udhar se baDhe the idhar se hum

ai kash ye sada bhi kabhi kan mein paDe

uTTho ki lauT aae hain apne safar se hum

dil ka chaman hai kaif-e-bahaaran liye hue

guzre the ek bar teri rah-guzar se hum

aata hai ek sitara nazar chand ke qarib

jab dekhte hain KHud ko tumhaari nazar se hum

is se zyaada daur-e-junun ki KHabar nahin

kuchh be-KHabar se aap the kuchh be-KHabar se hum

jitni bhi rah gai thi kami dil ke dard mein

utna hi luT gae hain mataa-e-nazar se hum

roz-e-azal se apni jabin mein taDap rahi

wabasta yun rahe hain tere sang-e-dar se hum

(684) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir LauT Kar Gae Na Kabhi Dasht-o-dar Se Hum In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Phir LauT Kar Gae Na Kabhi Dasht-o-dar Se Hum is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Phir LauT Kar Gae Na Kabhi Dasht-o-dar Se Hum for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Phir LauT Kar Gae Na Kabhi Dasht-o-dar Se Hum in PDF.