Ai Dil-e-be-qarar Dekh

daman-e-lala-zar mein

aalam-e-pur-bahaar dekh

kalla-e-kohsar par

jalwa-e-zar-nigar dekh

aab-e-rawan ki baat kya

KHak pe hai nikhaar dekh

ai dil-e-be-qarar dekh

dekh nashat bagh mein

jalwa-e-subh ka saman

kaif o nashat hai zamin

nur o surur aasman

aah ye manzar-e-jamil

hae ye jaan-faza saman

auj-e-falak se hai rawan

nur ka aabshaar dekh

ai dil-e-be-qarar dekh

dhaar ke kashtiyon ka rup

dull pe rawan hai zindagi

chaar taraf fazaon mein

itr-fashan hai zindagi

baad-e-dazan hai zindagi

shola-ba-jaan hai zindagi

charKH-e-taKHaiyyulat par

kahkashan hai zindagi

chehra-ba-chehra ru-ba-ru

husn ka ye nikhaar dekh

ai dil-e-be-qarar dekh

KHwah wolar ki jhil hai

KHwah faza-e-pahl-gam

ek se baDh ke ek hai

jo bhi nazar mein hai maqam

dekh ki un fazaon mein

phul sharab ke hain jam

ghas hai farsh-e-maKHmalin

zarre hain aasman-maqam

aur nahin tujhe nasib

ek bhi lamhe ka qayam

mauj-e-nashim-e-subh se

raaz ye aashkar dekh

ai dil-e-be-qarar dekh

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dil-e-be-qarar Dekh In English By Famous Poet Jagan Nath Azad. Ai Dil-e-be-qarar Dekh is written by Jagan Nath Azad. Read famous Poem Ai Dil-e-be-qarar Dekh for youth and Student by Jagan Nath Azad. Free Download Ai Dil-e-be-qarar Dekh in PDF.