Jine Mein Thi Na Naza Ke Ranj O Mehan Mein Thi

jine mein thi na naza ke ranj o mehan mein thi

aashiq ki ek baat jo diwana-pan mein thi

sada waraq tha bahama gul-ha-e-rang-rang

tafsir jaan pak bayaz-e-kafan mein thi

baDhta tha aur zauq-e-talab bekasi ke sath

kuchh dilkashi ajib nawah-e-watan mein thi

bimar jab hain karte hain fariyaad chaaragar

kya dastan-e-dard sukut-e-mahan mein thi

kahta tha chashm-e-shauq se wo aaftab-e-husn

halki si ek shua thi jo anjuman mein thi

kuchh iztirab-e-ishq ka aalam na puchhiye

bijli taDap rahi thi ki jaan is badan mein thi

kis se kahun ki thi wahi gul-ha-e-rang-rang

bikhri hui jo KHak sawad-e-chaman mein thi

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jine Mein Thi Na Naza Ke Ranj O Mehan Mein Thi In English By Famous Poet Jagat Mohan Lal Ravan. Jine Mein Thi Na Naza Ke Ranj O Mehan Mein Thi is written by Jagat Mohan Lal Ravan. Read famous Poem Jine Mein Thi Na Naza Ke Ranj O Mehan Mein Thi for youth and Student by Jagat Mohan Lal Ravan. Free Download Jine Mein Thi Na Naza Ke Ranj O Mehan Mein Thi in PDF.