Naya Labaada Purani Nishaniyan Na Gain

naya labaada purani nishaniyan na gain

faqih-e-shahr ki resha-dawaniyan na gain

saron pe taj na un ke ghulam gardish mein

magar dimagh se kyun rajdhaniyan na gain

bahut kashid kiya paniyon ko suraj ne

samundaron ki magar be-karaniyan na gain

fareb khane ke ba-wasf bhi kisi lamhe

dil-e-tabah teri KHush-gumaniyan na gain

tumhaari or se kya mutmain nahin the hum

tumhaari or se kyun bad-gumaniyan na gain

(651) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naya Labaada Purani Nishaniyan Na Gain In English By Famous Poet Jahangeer Imran. Naya Labaada Purani Nishaniyan Na Gain is written by Jahangeer Imran. Read famous Poem Naya Labaada Purani Nishaniyan Na Gain for youth and Student by Jahangeer Imran. Free Download Naya Labaada Purani Nishaniyan Na Gain in PDF.