Kab Kaun Kahan Kis Liye Zanjir-bapa Hai
kab kaun kahan kis liye zanjir-bapa hai
ye uqda-e-asrar-e-azal kis pe khula hai
kis bhes koi mauj-e-hawa sath laga le
kis des nikal jae ye dil kis ko pata hai
ek hath ki duri pe hain sab chand sitare
ye arsha-e-jaan kis dam-e-digar ki ata hai
aahang-e-shab-o-roz ke nairang se aage
dil ek gul-e-KHwab ki KHushbu mein basa hai
ye shahr-e-tilismat hai kuchh kah nahin sakte
pahlu mein khaDa shaKHs farishta ki bala hai
har soch hai ek gumbad-e-ehsas mein gardan
aur gumbad-e-ehsas mein dar harf-e-dua hai
ye did to rudad-e-hijabaat hai 'ali'
wo mah-e-mukammal na ghaTa hai na baDha hai
(863) Peoples Rate This