Isi Bais To Duniya Ki Musibat Gham Nahin Hoti

isi bais to duniya ki musibat gham nahin hoti

ye duniya gham to deti hai sharik-e-gham nahin hoti

charaghon mein lahu insaniyat ka jagmagata hai

magar insaniyat ki chashm-e-kam pur-nam nahin hoti

KHushi mahsus karta hun to duniya sath deti hai

musibat mein magar aamada-e-matam nahin hoti

KHushi ki shama to ai dost zad mein aa bhi jati hai

magar dagh-e-jigar ki raushni maddham nahin hoti

saliqa chahiye aawaz ko pahchan lene ka

nawa-e-shairi har dam nawa-e-gham nahin hoti

'jalil' un se bichhaD kar ek zamana ho gaya lekin

abhi tak mere ashkon ki rawani kam nahin hoti

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi Bais To Duniya Ki Musibat Gham Nahin Hoti In English By Famous Poet Jaleel Allahabadi. Isi Bais To Duniya Ki Musibat Gham Nahin Hoti is written by Jaleel Allahabadi. Read famous Poem Isi Bais To Duniya Ki Musibat Gham Nahin Hoti for youth and Student by Jaleel Allahabadi. Free Download Isi Bais To Duniya Ki Musibat Gham Nahin Hoti in PDF.