Nahin Ho Tum To Har Shai Ajnabi Malum Hoti Hai

nahin ho tum to har shai ajnabi malum hoti hai

bahaar-e-zindagi kanTon bhari malum hoti hai

charagh-e-zist ki lau thartharaati hai chale aao

mujhe har sans apni aaKHiri malum hoti hai

bataun kya tumhaari chashm-e-ulfat ki asar-rezi

rag-o-pai mein utarti barq si malum hoti hai

sitam mujh par usi andaz se paiham kiye jao

tumhaari dushmani bhi dosti malum hoti hai

jahan dekha kisi ne bhi hamein chashm-e-mohabbat se

palaT kar zindagi aai hui malum hoti hai

tawaf-e-dair-o-kaba se yahi hasil hua mujh ko

mohabbat hi sarapa bandagi malum hoti hai

'jalil' ek sham-e-hasrat bujh gai to gham nahin is ka

abhi dagh-e-jigar mein raushni malum hoti hai

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Ho Tum To Har Shai Ajnabi Malum Hoti Hai In English By Famous Poet Jaleel Allahabadi. Nahin Ho Tum To Har Shai Ajnabi Malum Hoti Hai is written by Jaleel Allahabadi. Read famous Poem Nahin Ho Tum To Har Shai Ajnabi Malum Hoti Hai for youth and Student by Jaleel Allahabadi. Free Download Nahin Ho Tum To Har Shai Ajnabi Malum Hoti Hai in PDF.