Faiz Tha Uske Tasawwur Ka Jo Chashm-e-tar Tak

faiz tha us ke tasawwur ka jo chashm-e-tar tak

qafile rang ke khinch aae hamare ghar tak

dekhte ahl-e-jahan zauq-e-wafa ke jauhar

us ki talwar hi pahunchi na hamare sar tak

tere kuche ki faza aur hi kuchh hai yun to

nazren ho aai hain duniya ke har ek manzar tak

ai KHirad tujh se kisi dil ko jagaya na gaya

ishq ke hath mein to bol uThe patthar tak

hum to mausam ke ishaaron se bahak jate hain

mai-kashi kuchh nahin mahdud KHum-o-saghar tak

maut aa jae bas ek sajda-e-pur-shauq ke baad

kash ho jae rasai kabhi tere dar tak

kya ho anjam taraqqi ka KHuda jaane 'jalil'

shorish-e-aql se larzan hain mah-o-aKHtar tak

(499) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faiz Tha Uske Tasawwur Ka Jo Chashm-e-tar Tak In English By Famous Poet Jaleel Fatehpuri. Faiz Tha Uske Tasawwur Ka Jo Chashm-e-tar Tak is written by Jaleel Fatehpuri. Read famous Poem Faiz Tha Uske Tasawwur Ka Jo Chashm-e-tar Tak for youth and Student by Jaleel Fatehpuri. Free Download Faiz Tha Uske Tasawwur Ka Jo Chashm-e-tar Tak in PDF.