NaKHuda SaKHt KHafa Garche Hamin Par The Bahut

naKHuda saKHt KHafa garche hamin par the bahut

hum ne bhi azm ke pahne hue zewar the bahut

tu ne dastak hi nahin di kisi darwaze par

warna khulne ko to diwar mein bhi dar the bahut

uD nahin paya agarche ye faza bhi thi khuli

mere andar se mujhe jakDe hue Dar the bahut

jit tera hi muqaddar thi so tu jit gaya

warna haare hue lashkar mein sikandar the bahut

KHam thi pyas teri warna to is dasht mein bhi

ek eDi ke ragaDne pe samundar the bahut

chhin gai aankh se hairat ki teri basti mein

har ghaDi rang badalte hue manzar the bahut

waqt ki mauj hamein par lagati kaise

hum ne hi jism se bandhe hue patthar the bahut

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

NaKHuda SaKHt KHafa Garche Hamin Par The Bahut In English By Famous Poet Jaleel Haider Lashari. NaKHuda SaKHt KHafa Garche Hamin Par The Bahut is written by Jaleel Haider Lashari. Read famous Poem NaKHuda SaKHt KHafa Garche Hamin Par The Bahut for youth and Student by Jaleel Haider Lashari. Free Download NaKHuda SaKHt KHafa Garche Hamin Par The Bahut in PDF.