Husn Mein Aafat-e-jahan Tu Hai

husn mein aafat-e-jahan tu hai

chaal mein KHanjar-e-rawan tu hai

donon zalim hain farq itna hai

aasman pir hai jawan tu hai

be-kahe dil ka haal raushan hai

ai KHamoshi meri zaban tu hai

apne ghar mein KHayal mein dil mein

ek ho kar kahan kahan tu hai

donon jaanib se parda-dari hai

main hun gumnam be-nishan tu hai

sab se pyari hai jaan duniya mein

jaan se baDh ke jaan-e-jaan tu hai

aaine par nahin ye chashm-e-karam

apni surat ka qadar-dan tu hai

kya barabar ka joD hai ye 'jalil'

yar nazuk hai na-tawan tu hai

(1180) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Mein Aafat-e-jahan Tu Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Husn Mein Aafat-e-jahan Tu Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Husn Mein Aafat-e-jahan Tu Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Husn Mein Aafat-e-jahan Tu Hai in PDF.