Jhum Kar Aaj Jo Matwali GhaTa Aai Hai

jhum kar aaj jo matwali ghaTa aai hai

yaad kya kya teri mastana ada aai hai

aise nazuk kabhi paband-e-hina hote hain

hath dho Dale hain rangat jo zara aai hai

tum bhi ruKHsar pe zulfon ko zara bikhra do

kali kali sar-e-gulzar ghaTa aai hai

husn-e-aKHlaq bhi hai husn-e-jawani ki tarah

jhuk gai hain teri aankhen jo haya aai hai

hae wo khol ke juDa ye kisi ka kahna

aaiye so rahen ab raat siwa aai hai

sach hai tum ne jo lagaya nahin munh ghunchon ko

unhen phir kis ke tabassum ki ada aai hai

kis ka dil KHun nahin hai chaman-e-alam mein

patti patti se hamein bu-e-wafa aai hai

raat bhar girya-e-shabnam se jo ghunche the udas

subh hote hi hansane ko saba aai hai

sher-KHwani pe teri sab ko guman hai ki 'jalil'

bazm mein ruh-e-amir-usshuara aai hai

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jhum Kar Aaj Jo Matwali GhaTa Aai Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Jhum Kar Aaj Jo Matwali GhaTa Aai Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Jhum Kar Aaj Jo Matwali GhaTa Aai Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Jhum Kar Aaj Jo Matwali GhaTa Aai Hai in PDF.