Maujud The Abhi Abhi Ru-posh Ho Gae

maujud the abhi abhi ru-posh ho gae

ai mast-e-naz tum to mere hosh ho gae

sote mein wo jo mujh se ham-aghosh ho gae

jitne gile the KHwab-e-faramosh ho gae

wade ki raat aai qaza is ada ke sath

dhoke mein tere us se ham-aghosh ho gae

barson hue na tum ne kiya bhul kar bhi yaad

wade ki tarah hum bhi faramosh ho gae

aankhon mein bhi jo aae to allah-re hijab

ban kar nazar nazar se wo ru-posh ho gae

kya kya zaban-daraaz charagh anjuman mein the

daman-kashan tum aae to KHamosh ho gae

yaran-e-rafta baat ka dete nahin jawab

kya kah diya faza ne ki KHamosh ho gae

aai shab-e-visal to nind aa gai unhen

hum hosh mein jo aae wo madhosh ho gae

mar kar tamam sar se Talin aafaten 'jalil'

hum jaan de ke sab se subuk-dosh ho gae

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maujud The Abhi Abhi Ru-posh Ho Gae In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Maujud The Abhi Abhi Ru-posh Ho Gae is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Maujud The Abhi Abhi Ru-posh Ho Gae for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Maujud The Abhi Abhi Ru-posh Ho Gae in PDF.