Meri Taraf Se Ye Be-KHayali Na Jaane Un Ko KHayal Kya Hai

meri taraf se ye be-KHayali na jaane un ko KHayal kya hai

kabhi na puchha malal kya hai kabhi na dekha ki haal kya hai

mubarak aghyar se talluq nai hai chahat naya tashshuq

bala se hum ho gae tasadduq tumhein ab is ka malal kya hai

tujhi ko jaana tujhi ko mana tujhi pa di jaan ghaebana

chhupa nahin kuchh mera fasana ye ab jawab-o-sawal kya hai

visal ho ya rahe jaddai tumhaari ai jaan jaisi marzi

jo apni haalat thi main ne kah di ab aage meri majal kya hai

nazar uThaen jo aarsi se to un se puchhun ye main hansi se

lagai hai aankh kya kisi se kaho to ye dekh-bhaal kya hai

dar-e-mohabbat ka ek gada hun pari ka talib na hur ka hun

tujhi ko tujh se main chahta hun bas aur mera sawal kya hai

kahan tak ai waizo ye jhagDe maze uThane do be-KHudi ke

jo hosh mein hun to main ye samjhun haram kya hai halal kya hai

bas ab mohabbat se hath uThao bhale ko kahte hain man jao

na aap ko is tarah miTao 'jalil' dekho to haal kya hai

(737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Taraf Se Ye Be-KHayali Na Jaane Un Ko KHayal Kya Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Meri Taraf Se Ye Be-KHayali Na Jaane Un Ko KHayal Kya Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Meri Taraf Se Ye Be-KHayali Na Jaane Un Ko KHayal Kya Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Meri Taraf Se Ye Be-KHayali Na Jaane Un Ko KHayal Kya Hai in PDF.