Rangat Ye RuKH Ki Aur Ye Aalam Naqab Ka

rangat ye ruKH ki aur ye aalam naqab ka

daman mein koi phul liye hai gulab ka

chaaron taraf se us pe nigahon ka bar hai

mushkil hai un ko ruKH se uThana naqab ka

taskin-e-KHak dete hain rakh kar jigar pe hath

pahlu badal rahe hain mere iztirab ka

muddat hui wahi hai zamane ka inqilab

naqsha khincha hua hai mere iztirab ka

bachpan kahan tak un ki umangon ko rokta

aaKHir ko rang phuT hi nikla shabab ka

rona KHushi ka roti hai bulbul bahaar mein

chhiDkaw ho raha hai chaman mein gulab ka

jhalki dikha ke aur wo bijli gira gae

achchha kiya ilaj mere iztirab ka

KHak-e-chaman pe shabnam o gul ka ajab hai rang

saghar kisi se chhuT paDa hai sharab ka

khoe hue hain shahid o mani ki dhun mein hum

ye bhi 'jalil' ek junun hai shabab ka

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rangat Ye RuKH Ki Aur Ye Aalam Naqab Ka In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Rangat Ye RuKH Ki Aur Ye Aalam Naqab Ka is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Rangat Ye RuKH Ki Aur Ye Aalam Naqab Ka for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Rangat Ye RuKH Ki Aur Ye Aalam Naqab Ka in PDF.