Zamana Hai Ki Guzra Ja Raha Hai

zamana hai ki guzra ja raha hai

ye dariya hai ki bahta ja raha hai

wo uTThe dard uTTha hashr uTTha

magar dil hai ki baiTha ja raha hai

lagi thi un ke qadmon se qayamat

main samjha sath saya ja raha hai

zamane par hanse koi ki roe

jo hona hai wo hota ja raha hai

mere dagh-e-jigar ko phul kah kar

mujhe kanTon mein khincha ja raha hai

bahaar aai ki din holi ke aae

gulon mein rang khela ja raha hai

rawan hai umr aur insan ghafil

musafir hai ki sota ja raha hai

sar-e-mayyat hai ye ibrat ka nauha

mohabbat ka janaza ja raha hai

'jalil' ab dil ko apna dil na samjho

koi kar ke ishaara ja raha hai

(1298) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamana Hai Ki Guzra Ja Raha Hai In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Zamana Hai Ki Guzra Ja Raha Hai is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Zamana Hai Ki Guzra Ja Raha Hai for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Zamana Hai Ki Guzra Ja Raha Hai in PDF.