Chashm-e-hairan Ko Tamasha-e-digar Par Rakkha

chashm-e-hairan ko tamasha-e-digar par rakkha

aur is dil ko teri KHair-KHabar par rakkha

ain-mumkin hai charaghon ko wo KHatir mein na lae

ghar ka ghar hum ne uTha rahguzar par rakkha

bojh se jhukne lagi shaKH to ja kar hum ne

aashiyane ko kisi aur shajar par rakkha

chaman-e-dahr mein is tarah basar ki hum ne

saya-e-gul ka bhi ehsan na sar par rakkha

us ki aawaz pe bahar nikal aaya hun 'jamal'

sara asbab-e-safar rah gaya ghar par rakkha

(1127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-hairan Ko Tamasha-e-digar Par Rakkha In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Chashm-e-hairan Ko Tamasha-e-digar Par Rakkha is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Chashm-e-hairan Ko Tamasha-e-digar Par Rakkha for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Chashm-e-hairan Ko Tamasha-e-digar Par Rakkha in PDF.