Dil Ki Taraf Dimagh Se Wo Aane Wala Hai

dil ki taraf dimagh se wo aane wala hai

ye bhi makan hath se ab jaane wala hai

ek lahar us ki aankh mein hai hausla-shikan

ek rang us ke chehre pe bahkane wala hai

ye kaun aane jaane laga us gali mein ab

ye kaun meri dastan dohrane wala hai

duniya pasand aane lagi dil ko ab bahut

samjho ki ab ye bagh bhi murjhane wala hai

jo saat-e-hasin thi wo roke nahin ruki

ye lamha bhi 'jamal' guzar jaane wala hai

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Taraf Dimagh Se Wo Aane Wala Hai In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Dil Ki Taraf Dimagh Se Wo Aane Wala Hai is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Dil Ki Taraf Dimagh Se Wo Aane Wala Hai for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Dil Ki Taraf Dimagh Se Wo Aane Wala Hai in PDF.