Kab Panw Figar Nahin Hote Kab Sar Mein Dhul Nahin Hoti

kab panw figar nahin hote kab sar mein dhul nahin hoti

teri rah pe chalne walon se lekin kabhi bhul nahin hoti

sar-e-kucha-e-ishq aa pahunche ho lekin zara dhyan rahe ki yahan

koi neki kaam nahin aati koi dua qubul nahin hoti

har-chand andesha-e-jaan hai bahut lekin is kar-e-mohabbat mein

koi pal bekar nahin jata koi baat fuzul nahin hoti

tere wasl ki aas badalte hue tere hijr ki aag mein jalte hue

kab dil masruf nahin rahta kab jaan mashghul nahin hoti

har rang-e-junun bharne walo shab-bedari karne walo

hai ishq wo mazduri jis mein mehnat bhi wasul nahin hoti

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Panw Figar Nahin Hote Kab Sar Mein Dhul Nahin Hoti In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Kab Panw Figar Nahin Hote Kab Sar Mein Dhul Nahin Hoti is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Kab Panw Figar Nahin Hote Kab Sar Mein Dhul Nahin Hoti for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Kab Panw Figar Nahin Hote Kab Sar Mein Dhul Nahin Hoti in PDF.