Na Sunne Mein Na Kahin Dekhne Mein Aaya Hai

na sunne mein na kahin dekhne mein aaya hai

jo hijr o wasl mere tajribe mein aaya hai

nae sire se jal uTThi hai phir purani aag

ajib lutf tujhe bhulne mein aaya hai

na hath mere na aankhen meri na chehra mera

ye kis ka aks mere aaine mein aaya hai

jawaz rakhta hai har ek apne hone ka

yahan pe jo hai kisi silsile mein aaya hai

hai waqia hadaf-e-sail-e-ab tha koi aur

mera makan to bas raste mein aaya hai

wo raaz-e-wasl tha jo nind mein khula mujh par

ye KHwab-e-hijr hai jo jagte mein aaya hai

'jamal' dekh ke jita tha jo kabhi tujh ko

kahin wo shaKHs bhi kya dekhne mein aaya hai

(904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sunne Mein Na Kahin Dekhne Mein Aaya Hai In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Na Sunne Mein Na Kahin Dekhne Mein Aaya Hai is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Na Sunne Mein Na Kahin Dekhne Mein Aaya Hai for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Na Sunne Mein Na Kahin Dekhne Mein Aaya Hai in PDF.