Sab Badalte Ja Rahe Hain Sar-ba-sar Apni Jagah

sab badalte ja rahe hain sar-ba-sar apni jagah

dasht ab apni jagah baqi na ghar apni jagah

main bhi nadim hun ki sab ke sath chal sakta nahin

aur sharminda hain mere ham-safar apni jagah

kyun simaTti ja rahi hain KHud-ba-KHud aabaadiyan

chhoDte kyun ja rahe hain baam-o-dar apni jagah

jo kuchh in aankhon ne dekha hai main us ka kya karun

shahr mein phaili hui jhuTi KHabar apni jagah

main 'jamal' apni jagah se is liye haTta nahin

wo ghaDi aa jae shayad lauT kar apni jagah

(1081) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Badalte Ja Rahe Hain Sar-ba-sar Apni Jagah In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Sab Badalte Ja Rahe Hain Sar-ba-sar Apni Jagah is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Sab Badalte Ja Rahe Hain Sar-ba-sar Apni Jagah for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Sab Badalte Ja Rahe Hain Sar-ba-sar Apni Jagah in PDF.