Sitare Ka Raaz Rakh Liya Mehman Maine

sitare ka raaz rakh liya mehman main ne

ek ujle KHwab aur aankh ke darmiyan main ne

chaDha hai jab chand aasman par to bojh utra

suna di har sone wale ko dastan main ne

tamam tesha-ba-dast hairat mein gum hue hain

charagh se kaT di hawa ki chaTan main ne

main dhup mein kyun kisi ka ehsanmand hota

KHud apne sae ko kar liya saeban main ne

'jamal' har shahr se hai pyara wo shahr mujh ko

jahan se dekha tha pahli bar aasman main ne

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitare Ka Raaz Rakh Liya Mehman Maine In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Sitare Ka Raaz Rakh Liya Mehman Maine is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Sitare Ka Raaz Rakh Liya Mehman Maine for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Sitare Ka Raaz Rakh Liya Mehman Maine in PDF.