Wo Bhi Milne Nai Poshak Badal Kar Aaya

wo bhi milne nai poshak badal kar aaya

main jo kal pairahan-e-KHak badal kar aaya

ai zamin-zad teri rifaten chhune ke liye

tujh talak main kai aflak badal kar aaya

us ko ras aai hai ye bazm-e-jahan jo bhi yahan

apna paimana-e-idrak badal kar aaya

ishq mein koi takalluf ki zarurat to nahin

phir wo kyun dida-e-namnak badal kar aaya

hum se kar be-sar-o-samani-e-hijrat pe sawal

us se mat puchh jo imlak badal kar aaya

aansuon se na badal paya ruKH-e-baad 'jamal'

par mizaj-e-KHas-o-KHashak badal kar aaya

(1013) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Bhi Milne Nai Poshak Badal Kar Aaya In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Wo Bhi Milne Nai Poshak Badal Kar Aaya is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Wo Bhi Milne Nai Poshak Badal Kar Aaya for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Wo Bhi Milne Nai Poshak Badal Kar Aaya in PDF.