Qarib Aate Hue Aur Dur Jate Hue

qarib aate hue aur dur jate hue

ye kaun log hain be-wajh muskuraate hue

ye lamhe saz-e-azal se chhalak ke gir gae the

tabhi se yun hi musalsal hain gungunate hue

ek aisi samt jidhar kab se hu ka aalam hai

main ja raha hun akela qadam baDhate hue

main kab se dekh raha hun ajib si harakat

mera likha hua kuchh log hain miTate hue

jo dal ke pas the un se hai marka darpesh

chala hun jazbon ki diwar aaj Dhate hue

(596) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarib Aate Hue Aur Dur Jate Hue In English By Famous Poet Jamal Owaisi. Qarib Aate Hue Aur Dur Jate Hue is written by Jamal Owaisi. Read famous Poem Qarib Aate Hue Aur Dur Jate Hue for youth and Student by Jamal Owaisi. Free Download Qarib Aate Hue Aur Dur Jate Hue in PDF.