Sada Rahe Tera Gham Salamat Yahi Asasa Hai Aabru Ka

sada rahe tera gham salamat yahi asasa hai aabru ka

ye daulat-e-dil baham na hoti to kaun pursan tha aarzu ka

umaD ke aaya hai ai azizo rawish rawish sail rang-o-bu ka

magar na phir bhi nasib chamka agar meri KHak-e-be-numu ka

misal-e-subh-e-bahaar tu hai to main hun sham-e-KHizan ki surat

chaman chaman KHar-o-KHas se mere farogh hai tere rang-o-bu ka

base to mere masham-e-jaan mein mahak tere nama-e-nafas ki

khule to parcham kabhi mere dosh par teri zulf-e-mushkbu ka

musafiran-e-safina-e-jaan rawan hain kin manzilon ki jaanib

hawa ki zad par shab-e-siyah mein alam kiye baadban lahu ka

qaba-e-jaan tar tar apni hui bahut kawish-e-rafu mein

magar isi se khula hai aaKHir bharam har ek chaak har rafu ka

jo mere ehsas-e-be-zaban ko zaban mili to chamak uTha hai

sharara ban kar kahin nawa ka charagh ban kar kahin pe lu ka

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sada Rahe Tera Gham Salamat Yahi Asasa Hai Aabru Ka In English By Famous Poet Jamal Panipati. Sada Rahe Tera Gham Salamat Yahi Asasa Hai Aabru Ka is written by Jamal Panipati. Read famous Poem Sada Rahe Tera Gham Salamat Yahi Asasa Hai Aabru Ka for youth and Student by Jamal Panipati. Free Download Sada Rahe Tera Gham Salamat Yahi Asasa Hai Aabru Ka in PDF.