Khet Shadab Hain Gulshan Mein Bhi Ranai Hai

khet shadab hain gulshan mein bhi ranai hai

ek muddat pe duaon ki pazirai hai

nikhat-o-rang ka paigham saba lai hai

ba-wafa kitni mere desh ki purwai hai

chandni bahr-e-taKHayyul mein utar aai hai

hajla-e-nur meri yaad ki gahrai hai

lala-o-gul ki qasam azmat-e-sahra ki qasam

abr-e-rahmat ka har ek shaKHs tamannai hai

shukr hai jazba-e-ulfat ke thapeDe kha kar

kashti-e-azm ab tufan se nikal aai hai

kaT gai raat meri sai-e-musalsal ke tufail

raushni subh-e-daraKHshan ki KHabar lai hai

dushman-e-jaan bhi teri baat ke qatil hain 'jamil'

tere har sher mein aKHlaq hai sachchai hai

(527) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khet Shadab Hain Gulshan Mein Bhi Ranai Hai In English By Famous Poet Jameel Azimabadi. Khet Shadab Hain Gulshan Mein Bhi Ranai Hai is written by Jameel Azimabadi. Read famous Poem Khet Shadab Hain Gulshan Mein Bhi Ranai Hai for youth and Student by Jameel Azimabadi. Free Download Khet Shadab Hain Gulshan Mein Bhi Ranai Hai in PDF.