Kis Se Paiman-e-wafa Bandhte Ho

kis se paiman-e-wafa bandhte ho

waqt ka aab-e-rawan hai ye to

koi sun lega to charcha hoga

apne dil se bhi ye baaten na karo

koi bajti hui shahnai hai

jhank kar parda-e-gul mein dekho

jab sitaron ke kanwal khilte hain

jhilmilata hai tumhaara partaw

dil ke aangan mein kiran nachegi

chandni raat mein aawaz to do

zaKHm phir se na hare ho jaen

mujh se yun pyar ki baaten na karo

aap ka hamdam-e-dairina hun

sar uThao meri jaanib dekho

(515) Peoples Rate This

Jameel Hamdam's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Kis Se Paiman-e-wafa Bandhte Ho In English By Famous Poet Jameel Hamdam. Kis Se Paiman-e-wafa Bandhte Ho is written by Jameel Hamdam. Read famous Poem Kis Se Paiman-e-wafa Bandhte Ho for youth and Student by Jameel Hamdam. Free Download Kis Se Paiman-e-wafa Bandhte Ho in PDF.