Aao PatjhaD Mein Kabhi Haal Hamara Dekho

aao patjhaD mein kabhi haal hamara dekho

KHushk patton ke sulagne ka tamasha dekho

pas aa kar mere baiTho mujhe apna samjho

jab bhi ruThi hui yaado mujhe tanha dekho

phul har shaKH pe khilte hain bikhar jate hain

kya tamasha hai sar-e-naKHl-e-tamanna dekho

kabhi ham-rang-e-zamin hai kabhi ham-dosh-e-falak

kohsaron se uchhalta hua dariya dekho

khulti jati hai shafaq rangi-e-KHun-ta-ba-sahar

shab ke sine mein jo paiwast hai neza dekho

yun to ghar hi mein simaT aai hai duniya sari

ho mayassar to kabhi ghum ke duniya dekho

unhi aankhon mein utar jati hai har sham 'jamil'

unhi aankhon se nikalta hai sawera dekho

(1214) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aao PatjhaD Mein Kabhi Haal Hamara Dekho In English By Famous Poet Jameel Malik. Aao PatjhaD Mein Kabhi Haal Hamara Dekho is written by Jameel Malik. Read famous Poem Aao PatjhaD Mein Kabhi Haal Hamara Dekho for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Aao PatjhaD Mein Kabhi Haal Hamara Dekho in PDF.