DhunDte Phirte Hain ZaKHmon Ka Mudawa Nikle

DhunDte phirte hain zaKHmon ka mudawa nikle

is bhare shahr mein koi to masiha nikle

uf ye amboh-e-rawan hae meri tanhai

kahin rasta nazar aae koi tum sa nikle

chand se chehron pe pathrai hui zard aankhen

koi batlao ye kis shahr mein hum aa nikle

pas-e-diwar khaDa hai koi tanha kab se

tu na nikle tere ghar se tera saya nikle

jin pe sau naz kare anjuman-arai bhi

ghaur se dekha to wo log bhi tanha nikle

ye sitaron ke taDapte hue simin paikar

jaane kab raat Dhale nur ka dariya nikle

chand suraj se bhi tariki-e-dauran na gai

dekhiye parda-e-aKHliq se ab kya nikle

(1773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunDte Phirte Hain ZaKHmon Ka Mudawa Nikle In English By Famous Poet Jameel Malik. DhunDte Phirte Hain ZaKHmon Ka Mudawa Nikle is written by Jameel Malik. Read famous Poem DhunDte Phirte Hain ZaKHmon Ka Mudawa Nikle for youth and Student by Jameel Malik. Free Download DhunDte Phirte Hain ZaKHmon Ka Mudawa Nikle in PDF.