Doston Ke Darmiyan Bhi Hum Ko Tanha Dekhte

doston ke darmiyan bhi hum ko tanha dekhte

tum kabhi aate sar-e-mahfil tamasha dekhte

aaina-KHanon mein kya rakkha hai hairat ke siwa

kucha-o-bazar mein KHun-e-masiha dekhte

maut ko bhi hum bana lete mata-e-zindagi

qatl yun hote ki sab dana o bina dekhte

qais ki manind kyun taswir ban kar rah gae

parda-e-mahmil uTha kar ru-e-laila dekhte

mein tumhaare husn ka be-saKHta izhaar hun

apne aaine mein mera bhi sarapa dekhte

DhunDne nikle hain tujh ko mawara-e-ab-o-gil

umr guzri yam-ba-yam sahra-ba-sahra dekhte

kya ye kam hai farsh se ta-arsh ho aae 'jamil'

chaar din ki zindagi mein aur kya kya dekhte

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Doston Ke Darmiyan Bhi Hum Ko Tanha Dekhte In English By Famous Poet Jameel Malik. Doston Ke Darmiyan Bhi Hum Ko Tanha Dekhte is written by Jameel Malik. Read famous Poem Doston Ke Darmiyan Bhi Hum Ko Tanha Dekhte for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Doston Ke Darmiyan Bhi Hum Ko Tanha Dekhte in PDF.