Falak Ka Har Sitara Raat Ki Aankhon Ka Moti Hai

falak ka har sitara raat ki aankhon ka moti hai

jise shabnam sahar ki shoKH kirnon mein piroti hai

wahi masti meri dhaDkan hai mere dil ki joti hai

jo teri nilgun aankhon mein gahri nind soti hai

zamin-e-dard mein chahat wafa ke bij boti hai

to kya kya jawedan lamhat ki taKHliq hoti hai

taDapti hai mere sine mein aise aarzu teri

koi jogan ghane jangal mein jaise chhup ke roti hai

ye meri soch har zarre mein suraj ki tamannai

ye dil ki raushni ko lamhe lamhe mein samoti hai

gae waqton ki pahnai chhalak jati hai aankhon se

andheri raat mein jab qatra qatra os roti hai

kahan milti hai wo rahat nae yaKH-basta chehron mein

purane doston se mil ke jo taskin hoti hai

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falak Ka Har Sitara Raat Ki Aankhon Ka Moti Hai In English By Famous Poet Jameel Malik. Falak Ka Har Sitara Raat Ki Aankhon Ka Moti Hai is written by Jameel Malik. Read famous Poem Falak Ka Har Sitara Raat Ki Aankhon Ka Moti Hai for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Falak Ka Har Sitara Raat Ki Aankhon Ka Moti Hai in PDF.